jab basane ka man me na ho hausla
be wajah ghosla mat banaya karo
agr utha na sako tum gire phool ko
is tarah daaliya mat hilaya karo
wo samundar nahi tha the aansu mere
jinme tum tairte aur nahate rahe
ek hum the ke aankho ki is jheel me
bas kinare pe dubki lagate rahe
macchliyan sab jhulas jayengi jheel ki
apna poora badan mat dubaya karo
jab basane ka man me na ho hausla
be wajah ghonsla mat banaya kro
wo hume kya sambhalenge is bheed me
jinse apna dupatta sambhalta nahi
kaise man ko main kah du sukomal hai ye
phool ko dekhkar bhi machalta nahi
jinke deewar o dar hai bane mom ke
unke ghar me na deepak jalaya karo
jab basane ka man me na ho hausla
be wajah ghosla mat banaya karo
in patango ko dekho ye udti yahan
jab katengi to jane girengi kahan
bahti nadiyo ko khud bhi pata hi nahi
apne priyatam se jane milengi kahan
jenke hontho pe na tum hansi rakh sako
unki aankho me aansu na laya karo
jab basane ka man me na ho hausla
be wajah ghosla mat banaya karo
prem ko dhaai akshar ka ye kaise kahe
prem sagar se gaehra hai aasmaan se bada
prem hota hai dikhta nahi hai magar
prem ki hi dhuri par ye jag hai khada
pre ke is nagar me jo anjaan ho
usko rahte galat mat bataya karo
jab basane ka man me na ho hausla
be wajah ghosla mat banaya karo
No comments:
Post a Comment